ishq mein wo badnam hua hai charcha us ka aam hua hai haq-goi hi un ki khata thi jin ka qatl-e-am hua hai is dil par kya haq hai mera ye dil tere nam hua hai ek abla ki hamdardi mein wo nahaq badnam hua hai saqi hum par bhi ho tawajjoh khali kab ka jam hua hai saf harifon ki sazish thi sabit kab ilzam hua hai ishq ki kya ho qadr wahan par husn jahan nilam hua hai 'shaz' ki qismat hai kuchh aisi wo aksar nakaam hua hai