ek fasana hai khwab hai duniya sar-ba-sar ek sarab hai duniya hadson ka nisab hai duniya zindagi ki kitab hai duniya is ko tashbih den to den kis se khud hi apna jawab hai duniya faisla umr bhar nahin hota khub hai ya kharab hai duniya hai ye ishrat-kada kisi ke liye aur kisi ko azab hai duniya chain insan ko nahin pal bhar aalam-e-iztirab hai duniya jis ki hoti nahin koi tabir wo suhana sa khwab hai duniya is ka jo gham hai la-jawab hai 'shaz' wo gham-e-be-hisab hai duniya