ishq mukammal khwab-e-pareshan husn hama tabir-e-gurezan qatre mein dariya ki samai dard-e-do-alam ek dil-e-insan ishq ba-har andaz-e-tajalli larzan larzan raqsan raqsan ishq ba-rang-e-shola-o-shabnam sozish-e-pinhan ashk numayan meri nigah-e-fikr mein 'anwar' ishq fasana husn hai uryan