ishq ne hum ko junun-asar aisa kar diya basta-e-sahil bhi rakkha aur dariya kar diya is gulistan-e-guman mein hum bhi the manind-e-khwab garmi-e-andesha ne hum ko bhi sahra kar diya dida-e-khush-bin ki ye eajaz-farmai to dekh kaise mubham khal-o-khat ko ek chehra kar diya ye jahan pinhan tha ek be-manzari ki khak mein hum ne chashm-e-shauq se dekha to duniya kar diya ruashni-e-taba ne raushan kiya hai ek jahan aur mujhe is aaina-khane mein tanha kar diya jab kabhi shab-zad lamhe gherne aae hamein hum ne sham-e-jaan jalai aur sawera kar diya ye karamat bhi ajab us ki masihai mein hai jo ba-zahir bhar diya wo zakhm gahra kar diya muntazir tha waqt so hum ne ba-andaz-e-sukhan aarzu ka ek jahan-e-taza paida kar diya