ibtida se main intiha ka hun main hun maghrur aur bala ka hun tu bhi hai ek charagh-e-mohlat-e-shab main bhi jhonka kisi hawa ka hun phenk mujh par kamand-e-naz apni aaj main ham-safar saba ka hun jis mein malbus chand rahta hai main bhi takma usi qaba ka hun mujh ko apna samajh rahi hai tu main kisi aur bewafa ka hun is mein meri khata nahin koi murtakib bas isi khata ka hun zindagi main abhi salamat hun main asar teri bad-dua ka hun mujh pe rakhta hai tohmat-e-ilhad main bhi banda isi khuda ka hun ujde khemon ka sogwar hun main main azadar karbala ka hun mujh ko 'shahid'-kamal kahte hain main bhi shair hun aur bala ka hun