ishq ne husn ki be-dad pe rona chaha tukhm-e-ehsas-e-wafa sang mein bona chaha aane wale kisi tufan ka rona ro kar na-khuda ne mujhe sahil pe dubona chaha sang-dil kyun na kahen but-kade wale mujh ko main ne patthar ka parastar na hona chaha hazrat-e-shaikh na samjhe mere dil ki qimat le ke tasbih ke rishte mein pirona chaha koi mazkur na tha ghair ka lekin tum ne baaton baaton mein ye nashtar bhi chubhona chaha dida-e-tar se bhi sarzad hua ek jurm-e-azim hashr mein nama-e-amal ko dhona chaha marte marte bhi tawaqqoa rahi dildari ki rakh ke sar zanu-e-taqdir pe sona chaha hae kis dard se ki zabt ki talqin mujhe hans pade dost jo main ne kabhi rona chaha jins-e-shohrat bahut arzan thi magar main ne 'hafiz' daulat-e-dard ko be-kar na khona chaha