jalwa-e-husn ko mahrum-e-tamashai kar be-niyazi sifat-e-lala-e-sahrai kar han bade shauq se shamshir ke eajaz dikha han bade shauq se dawa-e-masihai kar main to majbur hun aadat se kahe jaunga tu koi baat na sun aur na pazirai kar apne bimar ki ye aakhiri ummid bhi dekh malak-ul-maut se kahta hai masihai kar mujh ko le ja ke dar-e-yar pe qasid ne kaha khama-farsai na kar nasiya-farsai kar hum teri surat-e-inkar ko pahchante hain wo tabassum tu sharik-e-lab-e-goyai kar