ishq ne kar diya kya kya sukhan-ara tere nam wo jo gata tha falak par wo sitara tere nam usi fayyazi ka saya hai mere lafzon par jis ne bakhsha hai samarqand o bukhara tere nam aur main deta bhi kya apne junun ki qimat kar diya mausam-e-gul sare ka sara tere nam chashm-e-giryan ki qasam dida-e-viran ki qasam wadi-e-shauq ka har ek nazara tere nam jitne nuqsan the sab khud hi uthae hain 'ziya' main ne rakkha hi nahin koi khasara tere nam