jaane kaise main sada be-baal-o-par udta raha doston ke shahar mein misl-e-khabar udta raha umr ki ye tez-gami aur phir tera khayal ek saya sa pas-e-gard-e-safar udta raha kaise kaise imtihan tu ne liye ai zindagi phir bhi main bazu-shikasta umr-bhar udta raha jaane kya samjha ke us ko le gai pagal hawa der tak patta shajar se tut kar udta raha panw wahshat ne pakad rakhe the sahra dekh kar aur tasawwur jaanib-e-diwar-o-dar udta raha ek parinda amn ka pala tha hum ne pyar se lakh kate baal-o-par tum ne magar udta raha muntazir is bar bhi aankhen rahen apni 'ziya' koi chehra baadalon ke dosh par udta raha