ishq pahle to hasin manzar mein lata hai hamein

ishq pahle to hasin manzar mein lata hai hamein
baad mein be-had ghane jangal dikhata hai hamein

sukh bahut jaldi utha deta hai apne pas se
der tak mahfil mein apni dukh bithata hai hamein

wo khuda hai jo saza deta hai kar ke dar-ba-dar
aur wo bhi hai khuda jo dar dikhata hai hamein

jis ne sikhi hain hamin se sher ki barikiyan
ab ghazal kahne ka nuskha wo batata hai hamein

jab bhi uncha qad lage to aasman ko dekhna
aadmi bauna hai kitna ye batata hai hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close