ishq se kuchh kaam ne kuchh ku-e-jaanan se gharaz gul se matlab hai na kuchh khar-e-bayaban se gharaz ishq ki sarkar ko bebak bilkul kar chuke ab na kuchh zanjir se matlab na zindan se gharaz kis se hum jhagden nahin apna kisi millat mein mel ishq ke bande ko kya gabr-o-musalman se gharaz aalam-e-wahshat mein uryani ka jama chahiye kaam hathon ko gareban se na daman se gharaz teri nazron mein na thahrega ye ru-e-aftab tujh ko ai 'akhtar' na hogi mah-e-taban se gharaz