ja baithte ho ghairon mein ghairat nahin aati us waqt meri jaan murawwat nahin aati nazdik bhi ja kar na mila parda-nashin se ja dur ho ai dil tujhe chahat nahin aati ek hum hain ki hain nam-e-mubarak pe tasadduq tum ko to kabhi dekh ke ulfat nahin aati ya ranj hai ya hijr hai ya huzn hai ya gham kuchh shakl bana kar to musibat nahin aati kya rah-rawi yar ki sikhe hai tu is sal is tarah gai jism se taqat nahin aati har shai ke liye zarf hai darkar jahan mein kam-zarf ke nazdik to sarwat nahin aati kalkatte ne nabud kiya khwab-e-khushi ko pal-bhar mujhe is shahr mein rahat nahin aati rahta hun khayal-e-rukh-e-zeba mein shab-o-roz ai jaan tasawwur mein wo surat nahin aati khilte hain gul-e-sher har ek roz mah-o-sal 'akhtar' mere gulzar pe aafat nahin aati