ishq se yar baghawat nahin karne wale ab tere qalb se hijrat nahin karne wale yani hum teri jagah aur kisi ko de kar dusri bar mohabbat nahin karne wale zulm karna hai karo tum ko ijazat hai ki hum rab se kya khud se shikayat nahin karne wale hijr ke zakhm pe qurbat ka laga kar marham apne zakhmon ki himayat nahin karne wale dil ke zakhmon ko jagati hain rulati hain so hum aarzuon ki kifalat nahin karne wale dasht mein ja ke phate kapde pahan kar 'zoya' hum to majnun ki qayaadat nahin karne wale