hijr ki rut mein taDapti-o-sisakti aankhen

hijr ki rut mein tadapti-o-sisakti aankhen
mujh se dekhi nahin jatin ye tumhaari aankhen

waqt-e-college mein kitabon ke ahate mein ghiri
hae kis tarah main bhulun wo kitabi aankhen

chehra aisa ki jo dekhe kahe subhan-allah
zikr karte hue lab hain to namazi aankhen

ai musawwir koi taswir bana mujh jaisi
chehra ho gham ka badal shor machati aankhen

mujh ko palkon pe bitha kar ke zamin-bos kiya
ya-khuda khak wo ho jaen farebi aankhen

baad tere jo mujhe dekhe kahe ye 'zoya'
kis ke matam mein hain ye teri ghilafi aankhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close