ishwa kyun dil-ruba nahin hota

ishwa kyun dil-ruba nahin hota
ghamza kyun hashr-za nahin hota

aazmaen lahu ko rang-e-hina
khul gaya der-pa nahin hota

jaan dete ho un ke wadon par
jin ka wada wafa nahin hota

aaina us ko deta hai targhib
jo koi khud-numa nahin hota

kab nahin hoti fikr kis lamha
dosh par tasma-pa nahin hota

jis ki lau se chamak uthi hai mizha
aisa nawak khata nahin hota

zeb-e-tan jama aaina-paikar
koi pahlu chhupa nahin hota

sang kah kar pukariye us ko
dil jo dard-ashna nahin hota

khata hai aadmi nazar ke fareb
dida-e-dil jo wa nahin hota

nale ko dastaras nahin na sahi
hath khud kyun rasa nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close