jins-e-giran thi khubi-e-qismat nahin mili bikne ko hum bhi aae the qimat nahin mili hangam-e-roz-o-shab ke mashaghil the aur bhi kuchh karobar zist se fursat nahin mili kuchh dur hum bhi sath chale the ki yun hua kuchh masalon pe un se tabiat nahin mili ek aanch thi ki jis se sulagta raha wajud shoala sa jag utthe wo shiddat nahin mili wo be-hisi thi khushk hua sabza-e-umid barse jo subh-o-sham-o-chahat nahin mili khwahish thi justuju bhi thi diwangi na thi sahra-naward ban ke bhi wahshat nahin mili wo raushni thi sae bhi tahlil ho gae aaina-ghar mein apni bhi surat nahin mili