isi bais zamana ho gaya hai us ko ghar baithe wo darti hai kahin koi mohabbat hi na kar baithe hamara jurm ye hai hum ne kyun insaf chaha tha hamara faisla karne kai bedad-gar baithe kahan tak khana-e-dil ab main teri khair manunga zara sailab aaya aur tere diwar-o-dar baithe mayassar phir na hoga chilchilati dhup mein chalna yahin ke ho rahoge sae mein ek pal agar baithe bahut ghuma phira tu phir bhi khali hai tera kasa udhar to daulat-e-dil hath aai hum ko ghar baithe uda kar le gai duniya hamein kin kin jhamelon mein na phir fursat mili hum ko na phir hum umr bhar baithe faza mein gard ke zarron ki surat hum muallaq hain na udne ki tamanna ki na farsh-e-khak par baithe udi hai khak yaadon ki umidon ki iradon ki ye mitti thi ki bujhti rakh par hum panw dhar baithe palat kar jab bhi dekha khak ki chadar nazar aai na gard-e-rah baithi hai na mere ham-safar baithe