hum apne aap ko apne se kam bhi karte rahte hain aur is nuqsan par bekar gham bhi karte rahte hain uthate rahte hain din-raat diwar-e-wajud apni magar diwar ko thoda sa kham bhi karte rahte hain hum us ke husn ka jadu bhi chadhne dete hain khud par aur apne aap par kuchh padh ke dam bhi karte rahte hain hamein bhi shahr ki raunaq bala le jati hai aksar magar hum shahr ki raunaq se ram bhi karte rahte hain hamein jab khub chadh jata hai nashsha apni hasti ka to us nashshe mein hum raqs-e-adam bhi karte rahte hain ye aaina hamare ru-ba-ru jo kuchh bhi karta hai wahi sab aaine ke sath hum bhi karte rahte hain kabhi jab farhat-ehsas apna afsana sunate hain use apni haqiqat ka alam bhi karte rahte hain