isi bana pe agar ki to dosti karungi

isi bana pe agar ki to dosti karungi
faqat tumhaari nahin, apni baat bhi karungi

is ehtiyat ke khunte se bandh mat mujh ko
ki jitni bas mein mere hai main zindagi karungi

zamin pe pure tasalsul se ishq chahiye hai
ye kaam pahla kiya hai ye aakhiri karungi

wo tark-e-pas-e-wafa hi tha dushmani nahin thi
huzur pas-e-talluq to aaj bhi karungi

ye khud-aziyyati mahmez hai tabiat ko
so zakhm zakhm kuredungi shairi karungi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close