lo andheron ne bhi andaz ujalon ke liye

lo andheron ne bhi andaz ujalon ke liye
kaisi uftad padi dekhne walon ke liye

taza-kari ne wahan kar diye aalam ijad
hum taraste hi rahe taza khayalon ke liye

shah-rahon se guzarte hain shab-o-roz hujum
nai rahen hain faqat chand jiyalon ke liye

kaam mazi ki ye sada-nigahi kya aati
asr-e-hazir tere pechida sawalon ke liye

kitni shamen bujhin nadida kiran ki khatir
kitne suraj liye mauhum ujalon ke liye

kitne sangin haqaeq se nichoda hai lahu
chand khwabon ke liye chand khayalon ke liye

go nigah-dari-e-adab-e-junun mushkil hai
phir bhi aasan hai tere chahne walon ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close