isi khayal se tark un ki chah kar na sake kahenge log ki do din nibah kar na sake hamein jo dekh liya jhuk gai haya se aankh idhar-udhar sar-e-mahfil nigah kar na sake khuda ke samne aaya kuchh is ada se wo shokh ki munh se uf bhi zara dad-khwah kar na sake tere karam ka bharosa hi zahidon ko nahin isi liye to ye khul kar nigah kar na sake raha ye pas hamein aap ki nazakat ka ki dil ka khun hua munh se aah kar na sake tumhein 'hafiz' se nafrat hai to ye fikr hai kyun kisi hasin se wo rasm-o-rah kar na sake