jaan hi jae to jae dard-e-dil ek yahi hai ab dawa-e-dard-e-dil ab tadapne mein maza milta nahin ho chali jaan aashna-e-dard-e-dil imtihan-e-zabt hai manzur aaj jis qadar chahe satae dard-e-dil bhagti hai dur jis se maut bhi wo bala hai ye bala-e-dard-e-dil rahm kab aaya kisi be-dard ko ho chuki jab intiha-e-dard-e-dil kha ke kuchh so rahte hain hirman-nasib ek ye bhi hai dawa-e-dard-e-dil hum marizon ka nahin mumkin ilaj la-dawa hain mubtala-e-dard-e-dil rahti hai sine hi par taswir-e-dost hai ye tawiz ek bara-e-dard-e-dil rote rote bandh gai hichki 'hafiz' jab kaha kuchh majra-e-dard-e-dil