isi libas isi pairahan mein rahna hai use faqat mere sher-o-sukhan mein rahna hai tamam umr tera hath mere hath mein ho tamam umr isi ek jatan mein rahna hai wo ahl-e-husn hain hum se juda hai bazm un ki hum ahl-e-fan hain hamein ahl-e-fan mein rahna hai hai tera aur mera sath chand lamhon ka phir is ke baad kise anjuman mein rahna hai kise mili hai yahan rah-e-shauq mein manzil musafiron ko hamesha thakan mein rahna hai hamara dard bhi us ke badan mein ho 'rizwan' jab us ka dard hamare badan mein rahna hai