khud apni yaad dila ke rula diya hai mujhe wo ek shakhs ki jis ne bhula diya hai mujhe tere karam ka saza-war main raha jab tak gham-e-hayat ne bhi rasta diya hai mujhe hawa-e-shauq ne teri talash mein aksar misal-e-barg-e-shikasta uda diya hai mujhe zara si aankh lagi thi jo apni aakhir-e-shab hawa-e-subh ne aa kar jaga diya hai mujhe chaman mein tu raha jab tak gulab ki surat nasim-e-subh ne tera pata diya hai mujhe ye apna apna muqaddar hai is ko kya kahiye tujhe sarab to dariya bana diya hai mujhe ba-rang-e-shisha tha pahle ab ek patthar hun nazar se apni jo tu ne gira diya hai mujhe khayal-o-khwab ki baaten khayal-o-khwab huin shuur-e-zist ne jina sikha diya hai mujhe