isi mein khush hun mera dukh koi to sahta hai chali chalungi jahan tak ye sath rahta hai zamin-e-dil yunhi shadab to nahin ai dost qarib mein koi dariya zarur bahta hai ghane darakhton ke girne pe ma-siwa-e-hawa azab-e-dar-badri aur kaun sahta hai na jaane kaun sa fiqra kahan raqam ho jae dilon ka haal bhi ab kaun kis se kahta hai maqam-e-dil kahin aabaadiyon se hai bahar aur is makan mein jaise ki koi rahta hai mere badan ko nami kha gai hai ashkon ki bhari bahaar mein kaisa makan dhahta hai