saman to behad hai dil mein sab kuchh kar-amad hai dil mein aap kabhi tashrif to laen ek aali masnad hai dil mein ba-e-bismillah kholegi jo qufl-e-abjad hai dil mein ishq ki ausat kam nahin hoti aaj bhi sad-fi-sad hai dil mein koi bahs na koi hujjat tu be-radd-o-kad hai dil mein takta rahta hun sahra se ek hara gumbad hai dil mein ishq ho jaise jaan ki bazi aisi shadd-o-mad hai dil mein us ghar ki wusat kya kahna tum jaisa khush-qad hai dil mein ye jannat bhi hai dozakh bhi nek hai dil mein bad hai dil mein be-lausi se aae ho sach-much ya koi maqsad hai dil mein sar pe zaruri kaam pade hain aur aamad aamad hai dil mein hum jate hain fatiha padhne purkhon ka mashhad hai dil mein kyun khinchte hain 'shuur' aap aakhir kya hum se kuchh kad hai dil mein