isi sabab se KHizan hum ko nagawar nahin

isi sabab se khizan hum ko nagawar nahin
bahaar bhi to hamare liye bahaar nahin

hawas ki dhup mein tapte hain ghuncha-e-nauras
chaman mein koi shajar aaj saya-dar nahin

na jaane kya hue ham-rahiyan-e-manzil-e-shauq
hamari hadd-e-nazar tak koi ghubar nahin

junun-e-ishq ke anjam ki khabar kya ho
abhi to apna gareban bhi tar-tar nahin

khulus uth gaya kuchh is tarah zamane se
ki jin pe naz tha ab wo bhi gham-gusar nahin

ye dard-o-ranj-o-alam kam hain kya qayamat se
hamein mazid qayamat ka intizar nahin

hamein tu aaj hi aazad kar de ai sayyaad
ki ab hamein tere wadon pe eatibar nahin

guzar lenge yunhi apni zindagi 'sabir'
kisi ke lutf-o-karam par hi inhisar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close