isi tamanna mein dil ka charagh jalta hai

isi tamanna mein dil ka charagh jalta hai
ki us ke nur se ehsas-e-gham sanbhalta hai

hujum-e-ranj-o-mehan mein qaza ko bahlaya
ki waqt sans ke naqsh-e-qadam pe chalta hai

kisi ki gardish-e-ayyam par nazar na rahi
ki sham hote hi suraj bhi roz dhalta hai

ye dard azmat-e-imkan ki had se bahar hai
ye zakhm wo hai jo aaghosh-e-gham mein palta hai

mughaalton mein andheron ke zindagi guzri
mili hai raushni jab bhi to dam nikalta hai

ye nind palkon ka jo fasla hai rahne de
bas is tarah tere wahshi ka dil bahalta hai

kiya hai aise masail ne muztarib dil ko
har ek ashk-e-'shafaq' gham ka rukh badalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close