isi tarah uga tha aur isi tarah se dhal gaya ye aaj bhi yun hi gaya ki jis tarah se kal gaya jo mahw-e-fikr-e-zist hain unhen bhala ye kya khabar tulua mah kab hua kab aaftab dhal gaya tamam ahl-e-bazm lab-kusha se ho gaya hain kyun ye aakhir aisa kya meri zaban se nikal gaya jo kar raha tha aaftab ko nichodne ki baat bas ek shua ke lams se wo mom se pighal gaya jo puchha ek faqir se safar ka aakhiri maqam qadam ki khak utha ke wo meri jabin pe mal gaya kisi ki aah zehn par asar kuchh aisa kar gai mera tamam dard-e-dil sukhan mein hi badal gaya to tark nisbaten nasib se kar raha hai par bulandiyon se panw gar kabhi tera phisal gaya hai kis qadar mizaj udas pattharon ka dekhiye koi to hai jo raste pe gir ke phir sambhal gaya malal ki to dur tak umid mujh ko kya rahe jab us ke zehn se mera khayal hi nikal gaya