rahbar mila na hum ko koi rahnuma mila rahzan-sifat hi jo bhi mila ham-nawa mila har shakhs be-hisi hi ka ek aaina mila har roz is nagar mein naya saneha mila tum bewafa hue to zamana mila tumhein hum ba-wafa hue to naya aariza mila fashion mein gharq hain wo taraqqi ke nam par nam-o-numud ko bhi naya zawiya mila do doston mein dhundte hain aap rabta do bhaiyon mein hum ko bada fasla mila man bap ne to bakhshi thi aulad ko khushi ab kyun nahif hone pe hai hashiya mila us ki nawazishat 'umar' ghaur to karo jis ne khuda ki man liya rasta mila