is ko kuchh to milta hai mujh pe zulm dhane se baz wo na aaega mera ghar jalane se ga rahi hain diwaren raqs mein hai aangan bhi kitni raunaqen aain tere lut aane se aa ki tere mathe par ab ise saja dun main chand le ke aaya hun raat ke khazane se wo bhi in dinon yaro apni chaal mein gum hai hum bhi kuchh nahin kahte aaj kal zamane se hum ne apni aankhon mein khwab kuchh sajae hain apna bhi talluq hai zist ke gharane se wo hai be-nazar 'pashi' us ko kya khabar 'pashi' kitne dil sulagte hain ek diya bujhane se