ganw rafta rafta bante jate hain ab shahr qarya qarya phail raha hai tanhai ka zahr mujh ko dasta rahta hai bas har dam yahi khayal ek hi rukh par kyun bahta hai dariya aathon pahr kaun sa bhula-bisra gham tha jo aaya hai yaad rah rah kar phir dil mein utthe dard ki mithi lahar mera jite rahna bhi to ban gaya ek azab lekin mera marna bhi to ho jaega qahr lagta hai kuchh anhoni si hone wali hai darham-barham hone ko hai jaise nizam-e-dahr