ism paDha aur jism se uTh kar ishq uThaya

ism padha aur jism se uth kar ishq uthaya
dil darwesh ne mast qalandar ishq uthaya

farsh pe arsh ke baad mukarrar ishq uthaya
ruh ne ab ke jism ke andar ishq uthaya

shair sufi falsafa-dan wali paighambar
sab ne apne zarf barabar ishq uthaya

nind se jage sar par duniya-dari dhoi
aankh lagi aur khwab ke andar ishq uthaya

us ko ishq khud aap utha kar le gaya aage
jis ne himmat ki aur badh kar ishq uthaya

sachcha jhuta kham haqiqi aur majazi
lekin hum ne sab se behtar ishq uthaya

jis din sab apne hathon mein name lae
hum ne to us din bhi sar par ishq uthaya

hazrat-e-qais ne khud aa kar gathdi uthwai
main ne jab apne kandhon par ishq uthaya

ek badan do jism hua tha jis khwahish par
us khwahish ne paikar paikar ishq uthaya

ye diwangi diwane-pan se nahin aai
hum ne 'ahmad' soch-samajh kar ishq uthaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close