main to samjha tha ki bas dast-e-dua samne hai

main to samjha tha ki bas dast-e-dua samne hai
ghaur se dekha to dekha ki khuda samne hai

ek din bas yunhi nazron se gira di duniya
ek din bas yunhi socha ki ye kya samne hai

arsh ke zakhm ko bharte nahin dekha ab tak
main to jab se hun zamin par ye khala samne hai

khak aur khun mera is liye raushan hai 'farid'
mere pichhe hai dua aur diya samne hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close