ismat ka hai lihaz na parwa haya ki hai ye sin ghazab ka hai ye jawani bala ki hai sach puchhiye to nala-e-bulbul hai be-khata phulon mein sari aag lagai saba ki hai dil hai ajib gul chaman-e-rozgar mein rangat to phul ki hai magar bu wafa ki hai khalwat mein kyun ye sath hain sab ko alag karo shokhi ka hai na kaam na hajat haya ki hai wo hath un ke chumti hai main hun paemal ye hain mere nasib wo qismat hina ki hai anjam kya ho dagh-e-mohabbat ka dekhiye sine mein ibtida se jalan intiha ki hai mausam yahi to pine-pilane ka hai jalil mai-khwar bagh bagh hain aamad ghata ki hai