israr-o-inkisar se wo man to gaya

israr-o-inkisar se wo man to gaya
lekin main is tarah se use jaan to gaya

ki us ne go talafi-e-mafat barha
lekin jo us pe man tha wo man to gaya

ye baat aur hai wo chamak aankh mein na thi
itna bahut hai mil ke wo pahchan to gaya

achchha hua wo chashm-e-karam ho gai khafa
sar se ye roz roz ka ehsan to gaya

ek naqd-e-jaan hai aur pas-e-gard-e-rahguzar
baithe hain pa-rikab ki saman to gaya

phaila ke panw baith faragh-e-hayat ab
ghar se tere ye roz ka mehman to gaya

duniya mili ki din par itna zarur hai
is kashmakash mein 'shaikh' ka iman to gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close