jab tak mujhe khayal tere aastan ka tha rishta koi chaman se na gham aashiyan ka tha kuchh khauf baghban ka na barq-e-tapan ka tha jab tak meri nazar mein saman gulsitan ka tha didar-e-zul-jalal pe aamada ho gaya kya hausla nigah-e-dil-e-na-tawan ka tha le kar kahan kahan phira sail-e-junun mujhe pahunchi wahin pe khak thikana jahan ka tha uth kar chale to aae teri bazm se magar naqsha nazar ke samne haft-asman ka tha turbat mein bhi na sone diya chain se mujhe saya meri zamin pe kis aasman ka tha ek chehra-e-karakht ne chaunka diya mujhe dekha jo ghaur se to kisi mehrban ka tha kuchh soch kar jo 'shaikh' ji khamosh ho gae samjhe sabhi qusur usi be-zaban ka tha