itab mein jo tumhaare dahan se nikle hain wo tir the ki sharare badan se nikle hain fusun-e-jalwa-gari ka koi asar na hua ba-qaid-e-hosh teri anjuman se nikle hain koi maqam-e-aman ab nazar nahin aata bhari bahaar mein shoale chaman se nikle hain gham-e-hayat ne bakhshi fasurdagi kaisi ye aadmi hain ki murde kafan se nikle hain na-jaane kab se muqaddar thi dasht-paimai hazar khar mere pairahan se nikle hain ye rang-e-subh-e-bahaaran ye apni hairani ghazab khuda ka andhere kiran se nikle hain