mamul pe sahil rahta hai fitrat pe samundar hota hai tufan jo dubo de kashti ko kashti hi ke andar hota hai jo fasl-e-khizan mein kanton par raqsan-o-ghazal-khwan guzre the wo mausam-e-gul mein bhul gae phulon mein bhi khanjar hota hai har sham charaghan hota hai ashkon se hamari palkon par har subh hamari basti mein jalta hua manzar hota hai ab dekh ke apni surat ko ek chot si dil par lagti hai guzre hue lamhe kahte hain aaina bhi patthar hota hai is shahr-e-sitam mein pahle to 'manzur' bahut se qatil the ab qatil khud hi masiha hai ye zikr barabar hota hai