itna be-nafa nahin us se bichhadna mera anjuman-saz hua hai dil-e-tanha mera sar-nigun hone nahin deta ye ehsas mujhe main to tuta hun magar khwab na tuta mera kaun hain wo jinhen aafaq ki wusat kam hai ye samundar na ye dariya na ye sahra mera ek hi lamha-e-maujud mein maujud hun main aur ek lamhe ka hona hai na hona mera dil mein sau tir taraazu hue tab ja ke khula is qadar sahl na tha jaan se guzarna mera kaise tarsil-e-sukhan ki koi surat nikle ye zaban meri nahin hai na ye lahja mera main abhi sair-e-jahan-bini mein gum hun 'ashfaq' aasman dekh raha hai abhi rasta mera