main khudi mein mubtila khud ko mitane ke liye tu ne to har zarre ko zau di jagmagane ke liye ek adna se patinge ne bana di jaan par shama ne koshish to ki thi dil jalane ke liye barq-e-khirman sozab rakhna zara chashm-e-karam chaar tinke phir jade hain aashiyane ke liye munh nahin har ek ka jo sakhti-e-gardun sahe kuchh kaleja chahiye wo zakhm khane ke liye khub bulbul ko sikhaya nala-e-mastana-war khub ghunche ko samajh di muskurane ke liye is qadar arzan hui hai aaj kal jins-e-kamal jhute sikke dhal rahe hain har khazane ke liye khwab mein bhi ab nahin 'shair' wo garmi-e-kalam shama si ek rah gai hai jhilmilane ke liye