itna ehsas to de palne wale mujhko

itna ehsas to de palne wale mujh ko
main sambhal jaun agar koi sambhaale mujh ko

be-sahaara hun kisi waqt bhi gir jaunga
apni diwar mein jo chahe mila le mujh ko

dubne se jo bachaega wo kya paega
main abhi lash nahin kaun nikale mujh ko

main payambar to nahin tha ki aman pa jata
kya chhupate bhi kahin makdi ke jale mujh ko

main bhi raushan hun magar subh ke tare ki tarah
chand lamhon mein dubo denge ujale mujh ko

kya zaruri hai ki dushman hi ke sar jae azab
kar den ahbab hi qatil ke hawale mujh ko

tujh se haalat ke patthar na sahe jaenge
apne ehsas ka aaina bana le mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close