wo to main aag jalane se miyan waqif tha warna tu apne qabile se kahan waqif tha ant mein kya hua rawi ne bataya hi nahin yun kahani se to kahne ko jahan waqif tha aag mein koi badan tha ki jo aazad hua yani aaza ke tanasub se dhuan waqif tha raat kutton ne sadak sar pe utha rakkhi thi aur aaseb ki aamad se makan waqif tha sandrila ne qaba phad ke rassi bat li aur is baat se bas dew ka guman waqif tha