itna sukun to gham-e-pinhan mein aa gaya aaghosh-e-dil se daman-e-mizhgan mein aa gaya dil ashk ban ke dida-e-giryan mein aa gaya khurshid jaise rauzan-e-zindan mein aa gaya mujh ko to rang-o-bu mein ulajhne se tha gurez main ne ye kya kiya ki gulistan mein aa gaya aks-e-jamal-e-yar ba-tadrij-e-zauq-e-did aankhon se dil mein dil se rag-e-jaan mein aa gaya phir mere apne aap mein rahne ka kya sawal jab wo mere harim-e-dil-o-jaan mein aa gaya marham ka nam le ke na zakhmon ko chhediye marham bhala kahan se namak-dan mein aa gaya wahshat-asar faza hai na diwar-o-dar yahan be-kar hi main ghar se bayaban mein aa gaya 'akhgar' junun-e-ishq-e-nawardi kidhar gaya majnun to mere khana-e-viran mein aa gaya