jalwon ka jo tere koi pyasa nazar aaya wo zat mein apni hamein dariya nazar aaya zad par jo nigahon ki wo chehra nazar aaya kuchh rang-e-haya aur nikharta nazar aaya ye husn-e-taghazzul ka karishma nazar aaya wo jaan-e-ghazal sher sarapa nazar aaya ek silsila-e-la-mutanahi tha gham-e-ishq arman se arman nikalta nazar aaya rashk-e-mah-o-khurshid wo mitti ka diya tha jo rukh pe hawaon ke bhi jalta nazar aaya main ne to kabhi aap ko tanha nahin dekha main aap ko mahfil mein bhi tanha nazar aaya dil mera bhar aaya ba-gham-e-tark-e-mohabbat khali tha magar jam chhalakta nazar aaya parde pe jami rah gain khamosh nigahen yun bhi pas-e-parda tera chehra nazar aaya mujh par to jami thin teri mahfil ki nigahen main wo tha ki mahfil mein bhi tanha nazar aaya saqi ne mujhe khas nigahon se jo dekha shoala sa mere jam se uthta nazar aaya ek dushman-e-iman se ho ummid-e-wafa kya kab dasht mein diwar ka saya nazar aaya khush-rang hua aur teri yaad ka manzar palkon pe agar koi sitara nazar aaya suli pe chadha koi koi tur pe pahuncha 'akhgar' tere kuche se guzarta nazar aaya