itna tilism yaad ke chaqmaq mein raha

itna tilism yaad ke chaqmaq mein raha
raushan charagh dur kisi taq mein raha

makhfi bhi tha visal ka wo bab-e-mukhtasar
kuchh dil bhi mahw hijr ke asbaq mein raha

sahra ke ishtirak pe raazi the sab fariq
mahmil ka jo fasad tha ushshaq mein raha

mafqud ho gaya hai siyaq-o-sabaq se
jo harf-e-umr saikadon auraq mein raha

main tha ki jis ke waste paband ahd-e-hijr
wo aur ek hijr ke misaq mein raha

atwar us ke dekh ke aata nahin yaqin
insan suna gaya hai ki aafaq mein raha

khufta the daen baen kai mar-e-astin
zahrab ka asar mere tiryaq mein raha

tarikh ne pasand kiya bhi kisi sabab
ya bas ki shah-e-waqt tha auraq mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close