lagae baithe hain mehndi jo mere khun se poron mein yahi to rahzanon mein hain yahi hain dil ke choron mein pade rahte hain aksar su-e-mushkin ru-e-jaanan par bahut dekha hai hum ne ittifaq in kale goron mein lagai aag un ke husn-e-alam-soz ne har-su jalane chau-lakha baithe hain yun kore sakoron mein wufur-e-sohbat-e-aghyar se kuchh aise khul khele na wo jhenpen hazaron mein na sharmaen karoron mein hamein ku-e-butan se do-qadam uthne nahin deti hamari na-tawani in dinon hai aise zoron mein aman deta nahin wo chahne walon ko mar kar bhi hamare nam ko zalim ne pitwaya dhindhoron mein mere nalon ka 'ashiq' rang udaya andalibon ne khiram-e-yar ki shohrat hui sare chakoron mein