itna to karam mujh par allah tu farma de duniya ko mohabbat ki khushbu se tu mahka de paband-e-salasil kyon diwane ko karta hai diwane ke qadmon ko ab wusat-e-sahra de daman-e-talab apna itna na kushada kar dena ho jise soche de is ko to kya kya de saqi ki nigahon ki masti mujhe kafi hai allah mujhe phir kyon fikr-e-mai-o-mina de wo soz-o-gudaz-e-dil ab hum mein kahan baqi jo ruh ko tadpa de jo qalb ko garma de kabe mein tujhe dhundun ya dair-o-kalisa mein paun main kahan tujh ko ab kuchh to ishaare de dil rahat-e-sahil ka qail hi nahin 'wasfi' dena hai agar mujh ko to shorish-e-dariya de