surat hai teri dil mein ye naqsh-o-nigar kar parwanon mein ai shama mujhe bhi shumar kar aaenge din milan ke bhale intizar kar dil ko na yun ai wahshat-e-gham be-qarar kar taqdir kah rahi hai magar ab pukar kar qismat mein wo nahin teri sabr-o-qarar kar rasm-e-wafa tu pyar ke sab ikhtiyar kar yun ji ke zindagi ko ai dil yaadgar kar tu ishq ke junun mein gareban na tar kar izzat ka kuchh lihaz to apni ai yar kar qurbani kuchh bhi pyar hai mange agar ai dil isar de to pyar ko kuchh na wichaar kar khud ke liye na ji hain taqaze bhi pyar ke nam-e-wafa ko na tu kabhi dagh-dar kar us ne mitaya khud ko kisi aur ke liye jata hai dusre ki wo bigdi sanwar kar qurbani hai azim jo soche zara ye gar dekho gaya wo jiti hui bazi haar kar mathe pe hai shikan na hain aasar-e-gham ayan kya shan se chala shab-e-gham wo guzar kar mushkil hai chah gar ho ziyaada bhi had se ye ai dil kabhi na itna kisi ko dular kar hain ranj tere gham ke alawa jahan mein aur ai dil tu un ka bhi to kabhi kuchh waqar kar samra taraqqiyon ka na pae hain log chand jo qaum ke liye jiye sab kuchh nisar kar lamba hai qissa jaan-e-wafa ka ai 'saudagar' dilchasp hai bayan mein kuchh ikhtisar kar