itne aansu to na the dida-e-tar ke aage ab to pani hi bhara rahta hai ghar ke aage dam-ba-dam mujh ko tasawwur hai usi dilbar ka raat din phirta hai meri wo nazar ke aage hain ye ai jaan mere dil se mujhe apne aziz tere daghon ko main rakhta hun jigar ke aage garmi apni ko faramosh karen mahr-wishan sard ho jaen sab us rashk-e-qamar ke aage baad-e-tundi se miyan teri mujhe hairat hai kyunki rakhta hai tapanchon ko kamar ke aage tere danton se main tashbih na dun gauhar ko put ko qadr nahin silk-e-guhar ke aage zor se kaam nikalta nahin be zar ke diye zar bhi harba hai tera ek bashar ke aage zar agar barsar-e-faulad nahin narm shuad zor ka zor dhara rahta hai zar ke aage kis ko kahta hai miyan yan se sarak yan se sarak koi baitha nahin aa kar tere dar ke aage ye to majlis hai jahan baith gae baith gae kyun jagah badle koi kahe ko sarke aage ab kahan jae 'hasan' hathon se tere zalim rakh liya tu ne use tegh-o-sipar ke aage